Yah Hindi Ki Roman Lipi Hai,
Kisi Jagah Galti Milta Hai Toh Sansodhan Karke Padhne Ki Krupa Karen.
Articles Ko Prarambh Karte Hain,
Shanti Ek Aisa Shabd Jisko Sab Hasil Karna To Chahte Hain Magar Kisko Milta Hai Toh Kisko Nahin. Haan Ek Kaam Hum Kar Sakte Hai Kuch Samay Keliye Kuchh Rakam Dekar Woh Bhi Kuchh Samay Keliye Shanti Ko Kharid Kar Hum Usko Nibha Sakte Hain.
Magar Woh Shanti Nahin Kaha Jata Hai Woh Toh Paise Ki Garmi Kaha Jata Hai. Shanti Hasil Karne Ka Jagah Kahin Aur Hai Aur Woh Hai Bhagwan Ke Dwar Mein.
Woh Kaise ?
Apni Byast Jiban Se Dur Ho Kar Kuch Samay Nikalen Aur Yah Samay Ko Apni Puja Ghar Mein Ya Najdiki Kisi Mandir Mein Jayen Aur Ush Anmol Samay Ko Bhagwan Ki Bhakti Mein Khudko Leen Kardein.
Apni Family Ke Saath Ho Ya Akele Hi Ish Samay Ko Apnayen, Jahan Apne Maan Mein Sirf Bhagwan Ke Prati Bhakti Ke Sivay Na Koi Chinta Na Koi Shak Sawal Apke Mann Mein Nahin Chalna Chahiye.
Jab App Bhagwan Ke Dwar Jate Ho Toh Khali Haat Mein Jayen, Tight Kapde Na Pahne,
Mobile Lekar Na Jaye,
Haan Agar Jate Ho Toh Befikar Hokar Kisiki Chinta Chhod Kar Mobile Ko Switch Off Or Flight Mode Mein Kar Ke Rakhein.
Agar App Kisi Jaruri Karya Mein Byast Rehte Hain Aur Usi Byast Samay Se Kuchh Samay Bhagwan Ke Dwar Mein Bitana Chahte Ho Toh Byast Se Dusra Rasta Nikal Kar Wahan Pahunche Or Kisi Aur Ko Ush Karya Ko Kuch Samay Keliye Sonp Kar Ayen.
Kyun Ki Jiban Mein Asli Shanti Toh Mobile Ke Bina Hi Sambhav Hai.
Khud Ko Unki Charan Mein Pura Samarpit Kardein. Dekhoge Shanti Ka Asli Rah Apko Yahi Milega Aur Mehsoos Bhi Karoge.
Bhagwan Ka Dwar Ek Aisi Jagah Hai Sab Kuch Yahan Milta Hai Aur Sab Yahan Aakar Dukh Jatate Hai Magar Dunia Ki Sabse Dukh Ki Baat Yah Bhi Hai.
Sab Dukhi Hone Ke Baad Yahan Apni Dukh Batane Aate Hain Magar Manushya Jab Khusi Mein Rehta Hai Tab Woh Bhagwan Ke Dwar Ko Kabhi Yaad Nahin Karte Hain.
Magar, Mein Ish Article Ka Lekhak Ke Roop Me Apse Binti Karta Huun Ki, Aap Khus Ho Ya Dukhi Ho, Mandir Kabhi Kabhi Jaya Karen.
Agar Aap Pratidin Jaate Ho Toh Apko Bahut Bahut Dhanyabad Magar Kabhi Kabhi Jate Ho Toh Apke Liye Yah Anurodh Hai Ki Mandir Jaya Karen Aur Shanti Ki Asli Anubhab Bhagwan Ke Dwar Hi Hota Hai.
Dhanyabad.